Assalam walekum and hello everyone, welcome to "SAMEENA,S URDU POETRY"
Urdu poetry readers and my lovely frdzzzz kaise hain aap sab umeed Karti hoon sab Khair se honge ,,
Aaj main aap sab ke ley nayi gazal likhi h duniya ki sab se payari insaan par (MAA) Jo hum sab ki Zindagi mein bahut ahmiyat rakhti hai,,
Ye gazal main ne ek choti sii bachi ko Dekhne Ke BAAD likhi hai,,,us waqat wo Jo mahsus Kar rahi hogi use Apne lafuzu mein utara hai
Aculty main ek din bus stop par kadhi thi ,,aur MERI nazar us bachii pr padhiii Jo wahan phul bech rahi thi,,wo bahut mayus lag rahi thi meri nazar Baar usi ki taraf ja rahi thi aur Kuch dair BAAD uski ankhun mein aansu umadh aye ,,aur zaar o kataar rune lagi ,,,
Mujhe se Raha Nahi Gaya main ne todhi sii himmat jutaai aur us ke pass gayi aur us se poucha kya huwa hai tum Ru kuy rahi ho ,,,
Wo masoom khamous rahi . main ne phir poucha Dekho tum daro Nahi mujhe batoo kya Baat h ,,,ye kahte huwe main ne usko haath lagaya ,,,tw main hairaaan ho gayi wo bachiii bukhaar mein tap rahi thi,,, main ne us se areee tumhen tw bahut fever hai,,tumhari MAA kahan h,,,wo MERI Baat sun Kar aur zor se rone lagi ,,,
MERI samj Nahi aa Raha tha ,,aree batoo tw huwa kya ?
Wo rute huwe boli meri MAA Nahi h wo Marr gayi JB main paida hui tab ,,
Main ne poucha tw tum ab kis ke Saath rehti ho tw usne Kaha Baba ke sath ,,
Wo kahan Hain,,kaam pr Gaye Hain,,aaj mujhe MAA ki bahut Yaad aa rahi hai,,wo Hoti tw mujhe payar Karti ,,
Us din mujhe bahut dukh huwa ,,hum log kitne laa parwah Hain..
Kabhi parents KO waqat Nahi dete
Bus aap sab se ek request hai ,,
Apne parents ki kidmat Karne Ka koi muqa haath se Jane na den ,,,
Chlen ab chalte hai MERI gazal MAA ki taraf agar ap ko MERI gazal Pasand aye tw zarur share Karen aur apni Rai comments box mein zarur den 💐
Urdu gazal (MAA)
Thaak gayi hoon chalte chalte apni
gudh mein suu laa loo naa MAA,,
Thaak gayi hoon duniya se ladhte ladhte seene se lagaa loo na MAA,,
Tere aanchal ki thandi chaun KO tarasti hoon,,
Duniya ki tez dhoop se bachaa loo na MAA,,,
MERI galtiyun par wo tera naraaz
Hona aur maan janaa ,,,
Duniya ki bheedh mein kho gayi hoon
awaaz de Kar bula loo na MAA,,,
Rozz Chanda maama se pouchati hoon ek hi sawaal ,,,
Meraa taraa hai kahan ek jhalak apni Dikhlaa do na MAA,,,
Saoo tukhdun mein tuth Kar bikhar gayi hoon,,,
Mujhe aaa Kar phir se sameit loo na MAA,,,
You can also read my blog poetryhttps://www.blogger.com/blogger.g?blogID=992431187221147898#editor/target=post;postID=8302668471924224923;onPublishedMenu=allposts;onClosedMenu=allposts;postNum=9;src=postname
3 Comments
Speechless
ReplyDeleteLa jawab😞
ReplyDeleteNice
ReplyDeletePlzz leave a comment and any suggestions