Assalam walekum and hello everyone and welcome to "SAMEENA,S URDU POETRY"
Kaise hain aap sab umeed Karti hoon sab khair se honge ,,,
Phlye Tw aap sab Ka bahuuuuuuut shukriya 💐 aap sab ki wajha se Maine ek hazaar view,s complete kr liya ye sab aap logo ki mahobbat h,,Jo aap sab KO MERI poetry Pasand ayi ,,,
Yahi payar aap sab Ka humesha barkara Rakhen aur mujhe aur acchi acchi gazlen ,shyri likhne ki inspertion milti rahe ap sab se,,,
Ab chalte hai MERI nayi gazal ki tarf jis Ka title hai"BAHAADUR "
Darasal ye gazal main mere bhaijan ko dedicate Kar rahi hoon ,,,aur un Tamam BAHAADUR logo KO Jo Zindagi se ladh Kar apna muqaddar khud banate hai ,, Zindagi mein kitni BHI takleefen aye us se datkar samna karte hai,,
Haan Kabhi wo halaat se ladhte ladhte kamzur padhne lagte Hain lekin apni BAHAADURi se Zindagi jeet Leyte hain,,,
Aur MERI gazal unhe logo ke ley dedicated hai ,,,I hope aap sab KO Pasand ayegi insha'Allah agar Pasand aye tw zarur share Karen aur apni Rai comments box mein zarur den 💐💐👍
Urdu gazal,,, BAHAADUR
Lahrun se ladh ke main ne daryaa paar Kiya hai,,,
Cheer Kar andherun se Roshan sawera Kiya hai,,,
Tamash been ban Kar dekhti rehi mushkilen MERI ,,,
Kaante tamaam chun Kar raah se raastey KO humwaar Kiya hai,,,
Masnawii phulun se Kabhi aati Nahi khusboo,,,
Chaman KO main ne Apne khoon e Jigar se gulzaar Kiya hai,,
Kaagaz ki kashtiun ki Zindagi badi mukhtasar Hoti hai,,
Ladh ke apni kismat se toofanu KO paar Kiya hai,,,
Jo khud lekhte Hain apna muqaddar ladhke taqdeer se ,,,
Wo hiii is zaamane mein mashahur huwaa hai,,,
You can also read my blog poetry
https://sameena13.blogspot.com/2019/05/urdu-poetry-for-mothers-day_12.html?m=1
1 Comments
I came here for first time, lekin gazal padh ke maza aa gaya, nice keep going 👏👏👏👏 Allah bless you infinite,,
ReplyDeletePlzz leave a comment and any suggestions