Urdu gazal (BAARISHHH)

Assalam walekum and hello everyone welcome to"SAMEENA,S URDU POETRY"

Aap sab kaise hain umeed Karti hoon ke aap sab khair se honge,,,,

Aaj main aap sab ke ley ek gazal laayi hoon..aur uska title hai,,"BAARISHH"

Hum sab jante hai ke barish ne humare Kuch states main bahut tabahi machai hai,,,aur main khud ek flood serviver hoon aur is tabahi KO apni aankhun se Dekha hai  aur us dard aur takleef KO mahusus Kiya hai,,,

Apni aankhu ke saamne aap Ka sab Kuch khatam ho Raha Jo tw soucheye wo manzar Kaisa Hoga ,,bhukh se Bache tadap rahe hoon paani ki payaas se halak sukkhne lage Apne aankhun ke saamne Kisi Apne ki Jaan khatre mein ho,,,har tarf paani hi paani ho aur aap kudrat ke saamne itne be bus aur laachaar hoon ke Kuch Kar Nahi sakhte,,,

Wo barish ki bunde aap ke ley ek sazaaa si mahsus hone lagegi Jo aap se aap Ka sab Kuch cheen rahi thi,,,

Aankhun se aansuoo aur labhu se sirf khuda se faryaad Karti hoon ke ye azaab band ho aur humen raahat ki saans mile ,,,,

Main ne Jo us dauraan Jo mahsus Kiya usi ko apni gazal mein utara hai aur umeed Karti hoon ke mere lafz aap KO us darad KO mahsus Karwa payen,,,

Aur bus duwa Karen ke allha hum sab KO himaat de ke hum phir se Zindagi ki raah par lute ayen,,


Gazal (BAARISHH)

Ye Kaisa manzar Mere saamne thaa,,

Har taraf be  basii aur laachaari  Ka aalam tha,,,

Barish kaher ban Kar Kuch aise baras rahi thi,,,

Barish ki bundee nahiii Jaise khanjar tha,,

Aankhun ke saamne dub rahaa tha jahaan,

Dher laashun Ka laga Jaise samander tha,,

Tinkaa tinkaa judh Kar banaya tha ashiyaan,,,

Sukkhe pattun ki Tarah ujhadh rahaa Ghar Ka aangan tha,,

Sukhe labhu ki piyaas bhuke bachun ki cheeke ,,,

Kudarat ke kaher ke saamne majbur har bashar tha,,,

You can also read my blog poetryhttps://sameena13.blogspot.com/2019/07/urdu-poetry-gazal-bahaadur.html?m=1

Post a Comment

0 Comments