Urdu gazal (EK payar ki dor)


Assalam walekum and hello everyone welcome to" SAMEENA' S URDU POETRY"

Pahley tw aap sab KO a very happy  rakhshabandan"
and

 happy independence Day to all my Indian,s brother,s and sisters...

Aaj main aap sab ke ley ek nayi gazal laayi hoon,,,Bhai bahen ki bahut hi payare aur anokhe rishte par ,,,

Anokha is ley ke ye dono ek dusre se khub ladhte jhaghte Hain ki parents BHI inki sulha karate karate thak jate Hain aur payara is ley ki jitna ye ek dusre se ladhte hoon par ek   dusre ke Bina inka guzara BHI Nahi hota ,,,

Kabhi badi bahen MAA bankar Kar  bhaiyun Ka care Karti hain tw bade Bhai baap ki tarha chote Bhai bahen ki jimeedaariyan Pori karte Hain,,,

Aaj ki MERI gazal (ek payar ki dor) un Tamam bhaiyun ke ley dedicate Karti hoon aur god se bus yahi duwa Karti hoon unhe  humesha khus rakhe aur unhe lambi Umar de ameen,,,


Gazal (Ek payar ki dor)


Yaqeen hote Nahi mujh KO apni khus kismati par,,,

Muqaddar Mera sanwaara tohfaa Anmol tumhen mujh KO de Kar,,

Tumne Kabhi gum KO mere pass aane Nahi Diya,,

Humesha khushiyan se raah sajayi  phoolun KO beechaa Kar,,

Bachpan mein chalna sikhaya ungli pakhdh Kar,,

Aaj BHI Saath chalte ho mahobbat ki shamaa jala Kar ,,

Bhaiya humesha Yun hii mere Saath rehna tum,,

Main ladh kadhaoon gar Kabhi tw sabhanlana mujh KO haath pakhdh Kar,,

Ek payar ki dor tere haath par baandhi hai,,

Ye dor hum dono ko baandh Kar rakhegi Umar Bhar,,,

You can also read my blog poetry
https://sameena13.blogspot.com/2019/05/urdu-shyri-waqat.html

Post a Comment

1 Comments

Plzz leave a comment and any suggestions