Urdu rumantic poetry

Assalam walekum and hello everyone Urdu poetry readers and my lovely frdzzzz and followers,,,💐💐

Welcome to "SAMEENA S URDU POETRY"aaj main aap sab ke ley ek nayi rumantic Urdu gazal"khatt"laayi hoon aur umeed Karti hoon ke aap sab KO Pasand ayegi insha'Allah agar Pasand aye tw zarur share Karen aur apni Rai comments box mein zarur den,,,

Meri is gazal ke baare mein Kuch aap sab KO batana choongi ,,,

Aaj kal social media Ka zamaana hai ,,,aaj kal ek click par aap har us insaan se aasaani Baat Kar Leyte Hain ,,log kahete Hain ki is asaan raabte ki wajha ne logo ke dilun mein mahobbat kaam kr Di hai,,,hum sab ne aksar Apne badun se suna hai ki phlye ek dusre ki khairiyat malum krne ke ley log "khatt"Likha karte the aur badi hi sidaat se us ke jawab Ka intezaar BHI karte ,,

Ek incident Yaad aa Raha hai mujhe ,,,

Main ek din school se Ghar ayi tw Dekha ki Ammi ke aankhun mein aansu the aur unke haath main khattun se bhara ek dibba aur nano aur naani ki tasweer thi ,,, main ne Ammi se poucha ke aap kuy Ru rahi Hain ,, ,

Ammi ne ansun KO pounchte huwe boli nano naani Yaad aa rahi thi tw bus unke likhe khattun KO padh Kar unhe Yaad Kar rahi thi,,,,ye" khat "mere ley sab se Anmol Hain,,,

Aise kitne saare log hain,,Jin ki Zindagi mein khattun mein apno Ka payr ,rishtun ki khusboo Ka ahsaas mahsus karte Hain ,,,aaj ISI payre subject par main ne apni gazal likhi hai,,,



Urdu gazal"khatt"

Kya khubsurat waqat tha jab khath Likha karte the,,

Dil ke saare jazbatun KO lafzun mein bayaan karte the,,


Haal e Dil likhne BHI Kitna muskil HOTA hai,,

Mahbub ke taswwar se khudh hi sharmaya karte the,,,

Wo phlye khath ki khusboo aaj BHI mahsus Hoti hai,,,


Larzti thi ungliyan jab unhe khat  Likha karte the,, ,

Wo phlyi mulaaqat jab unki chuph ke dekha tha,,,

Wo Dil ki tez dhadhkane ufff jab dono ke Dil dhadhka karte the,,,


Daayre mein reh Kar nibhai rasmee  mahobbat,,,

Duwaoon mein akhsar unhe maanga karte the,,,

You can also read my blog poetry,,https://sameena13.blogspot.com/2019/07/urdu-poetry-mahobbat-hai-tw-hai.html?m=1

Post a Comment

0 Comments